apna jo bana le wo nazar DhunD rahe hain
apnā jo banā le vo nazar DhūñD rahe haiñ
ham apnī du'āoñ meñ asar DhūñD rahe haiñ
ye kaun sī duniyā hai jahāñ log ye saare
rahne ko tirī bastī meñ ghar DhūñD rahe haiñ
taaki hameñ mil jaa.e koī achchhī sī sūrat
bas is liye ham us kā nagar DhūñD rahe haiñ
vo shaḳhs jo duniyā meñ miyāñ sab se alag ho
dekhā to nahīñ hai use par DhūñD rahe haiñ
hañste hue chehroñ se hameñ hotī hai vahshat
ham log udāsī ke shajar DhūñD rahe haiñ
apna jo bana le wo nazar DhunD rahe hain
hum apni du'aon mein asar DhunD rahe hain
ye kaun si duniya hai jahan log ye sare
rahne ko teri basti mein ghar DhunD rahe hain
taki hamein mil jae koi achchhi si surat
bas is liye hum us ka nagar DhunD rahe hain
wo shaKHs jo duniya mein miyan sab se alag ho
dekha to nahin hai use par DhunD rahe hain
hanste hue chehron se hamein hoti hai wahshat
hum log udasi ke shajar DhunD rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.