apna kahte hain magar apna banate kab hain
apnā kahte haiñ magar apnā banāte kab haiñ
vā'da karte haiñ magar log nibhāte kab haiñ
yaar tū aas na kar us ke palaT aane kī
jo chale jaate haiñ vo lauT ke aate kab haiñ
ham ko karnā hai safar un kī galī kā lekin
dekhnā hai ki vo ham ko bhī bulāte kab haiñ
mashvare dete haiñ bas log yahāñ par aksar
saath dene ke liye haath baḌhāte kab haiñ
koī us ko bhī zarā ye to batā.e jā kar
pyaar karte haiñ jise us ko bhulāte kab haiñ
apna kahte hain magar apna banate kab hain
wa'da karte hain magar log nibhate kab hain
yar tu aas na kar us ke palaT aane ki
jo chale jate hain wo lauT ke aate kab hain
hum ko karna hai safar un ki gali ka lekin
dekhna hai ki wo hum ko bhi bulate kab hain
mashware dete hain bas log yahan par aksar
sath dene ke liye hath baDhate kab hain
koi us ko bhi zara ye to batae ja kar
pyar karte hain jise us ko bhulate kab hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.