apna kirdar bachane mein lahu lagta hai
apnā kirdār bachāne meñ lahū lagtā hai
zindagī tere fasāne meñ lahū lagtā hai
hijr kī aag sharāboñ se kahāñ bujhtī hai
hijr kī aag bujhāne meñ lahū lagtā hai
ḳhuun thūkvātā hai har baar tirā naam mujhe
tujh ko āvāz lagāne meñ lahū lagtā hai
ye vo duniyā hai jahāñ aane meñ āsānī hai
haañ magar lauT ke jaane meñ lahū lagtā hai
is liye bhī maiñ bujhā rakhtā huuñ maazī ke charāġh
un charāġhoñ ko jalāne meñ lahū lagtā hai
aur tasvīreñ to bantī haiñ faqat rangoñ se
us kī tasvīr banāne meñ lahū lagtā hai
jin kī rag rag meñ ho paanī vo mohabbat na kareñ
is mohabbat ko nibhāne meñ lahū lagtā hai
apna kirdar bachane mein lahu lagta hai
zindagi tere fasane mein lahu lagta hai
hijr ki aag sharabon se kahan bujhti hai
hijr ki aag bujhane mein lahu lagta hai
KHun thukwata hai har bar tera nam mujhe
tujh ko aawaz lagane mein lahu lagta hai
ye wo duniya hai jahan aane mein aasani hai
han magar lauT ke jaane mein lahu lagta hai
is liye bhi main bujha rakhta hun mazi ke charagh
un charaghon ko jalane mein lahu lagta hai
aur taswiren to banti hain faqat rangon se
us ki taswir banane mein lahu lagta hai
jin ki rag rag mein ho pani wo mohabbat na karen
is mohabbat ko nibhane mein lahu lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.