apna kirdar nibhaya hai samundar maine
apnā kirdār nibhāyā hai samundar maiñ ne
ek qatre ko banāyā hai samundar maiñ ne
apnī lahroñ se zarā kah de ki hushiyār raheñ
dil meñ tūfān chhupāyā hai samundar maiñ ne
jis ko mad-mast havā.eñ bhī bujhā na paa.eñ
diip ik aisā jalāyā hai samundar maiñ ne
tujh ko parvāh nahīñ va.ade kī to apne na sahī
pyaar kā dil meñ chhupāyā hai samundar maiñ ne
terī duniyā ko ujāloñ se sajāne ke liye
dil charāġhoñ sā jalāyā hai samundar maiñ ne
āzmāne ko faqat zarf mirī āñkhoñ kā
aa.ina tujh ko banāyā hai samundar maiñ ne
apna kirdar nibhaya hai samundar main ne
ek qatre ko banaya hai samundar main ne
apni lahron se zara kah de ki hushiyar rahen
dil mein tufan chhupaya hai samundar main ne
jis ko mad-mast hawaen bhi bujha na paen
dip ek aisa jalaya hai samundar main ne
tujh ko parwah nahin wade ki to apne na sahi
pyar ka dil mein chhupaya hai samundar main ne
teri duniya ko ujalon se sajaane ke liye
dil charaghon sa jalaya hai samundar main ne
aazmane ko faqat zarf meri aankhon ka
aaina tujh ko banaya hai samundar main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.