apna paband koi ghair bana le mujhko
apnā pāband koī ġhair banā le mujh ko
is se achchhā hai ki allāh uThā le mujh ko
jau kī roTī se maiñ rakhtā huuñ kuchh aisā rishta
raas aate nahīñ sone ke nivāle mujhe ko
aa.ine meñ nazar aatī hai bas apnī tasvīr
maiñ tirā 'aks huuñ ai dekhne vaale mujh ko
manzil-e-dil na.ī āvāz lagā detī hai
rokte haiñ jo kabhī paañv ke chhāle mujh ko
jab nikaltā huuñ maiñ ghar se to palaTtā hī nahīñ
gauhar-e-ashk huuñ āñkhoñ meñ chhupā le mujh ko
dil-e-majbūr ko maiñ ne bhī satāyā hai bahut
kahīñ allāh musībat meñ na Daale mujh ko
abhī mazmūn mohabbat kā mukammal hī nahīñ
yaad aa.e haiñ kitāboñ ke havāle mujh ko
gosha-e-qabr meñ taskīn kā sāmāñ hogā
kuchh na de pā.eñge duniyā ke ujāle mujh ko
chaar din ke liye aayā thā maiñ hastī meñ 'ra.īs'
maut se kah do ki vā'doñ pe na Taale mujh ko
apna paband koi ghair bana le mujh ko
is se achchha hai ki allah uTha le mujh ko
jau ki roTi se main rakhta hun kuchh aisa rishta
ras aate nahin sone ke niwale mujhe ko
aaine mein nazar aati hai bas apni taswir
main tera 'aks hun ai dekhne wale mujh ko
manzil-e-dil nai aawaz laga deti hai
rokte hain jo kabhi panw ke chhaale mujh ko
jab nikalta hun main ghar se to palaTta hi nahin
gauhar-e-ashk hun aankhon mein chhupa le mujh ko
dil-e-majbur ko main ne bhi sataya hai bahut
kahin allah musibat mein na Dale mujh ko
abhi mazmun mohabbat ka mukammal hi nahin
yaad aae hain kitabon ke hawale mujh ko
gosha-e-qabr mein taskin ka saman hoga
kuchh na de paenge duniya ke ujale mujh ko
chaar din ke liye aaya tha main hasti mein 'rais'
maut se kah do ki wa'don pe na Tale mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.