apna pata phaTi hui jebon mein Dal kar
apnā pata phaTī huī jeboñ meñ Daal kar
ghar se nikal paḌe haiñ balāoñ ko Taal kar
qātil haiñ rāste to safar hai lahū lahū
aao shugūn dekh leñ sikka uchhāl kar
samjheñ kahīñ na koī ajūba tujhe ye log
ġhurbat kī zindagī kā na itnā malāl kar
tārīkī-e-hayāt meñ gum vo bhī ho ga.e
chalte the rāsta jo bahut dekh-bhāl kar
ḳhūn-e-jigar se likkhī hai tārīḳh-e-ahd-e-nau
shā.ir ne sab haqīqateñ sheroñ meñ Dhaal kar
murjhā gayā hai terī judā.ī meñ naḳhl-e-dil
āb-e-visāl se tū ise phir nihāl kar
piite haiñ roz shab tirī furqat meñ sāqiyā
apnā shabāb sāġhar-o-mīnā meñ Dhaal kar
'parkāsh' merī laash ko kāġhaz kā de kafan
be-vaqt maut kā na tū itnā malāl kar
apna pata phaTi hui jebon mein Dal kar
ghar se nikal paDe hain balaon ko Tal kar
qatil hain raste to safar hai lahu lahu
aao shugun dekh len sikka uchhaal kar
samjhen kahin na koi ajuba tujhe ye log
ghurbat ki zindagi ka na itna malal kar
tariki-e-hayat mein gum wo bhi ho gae
chalte the rasta jo bahut dekh-bhaal kar
KHun-e-jigar se likkhi hai tariKH-e-ahd-e-nau
shair ne sab haqiqaten sheron mein Dhaal kar
murjha gaya hai teri judai mein naKHl-e-dil
aab-e-visal se tu ise phir nihaal kar
pite hain roz shab teri furqat mein saqiya
apna shabab saghar-o-mina mein Dhaal kar
'parkash' meri lash ko kaghaz ka de kafan
be-waqt maut ka na tu itna malal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.