apna rakhta KHayal hai koi
apnā rakhtā ḳhayāl hai koī
tere jaisā niDhāl hai koī
terā dā'vā hai sach to zinda hai
is kī zinda misāl hai koī
ḳhud hī kartī hai maut se saudā
zindagī sā dalāl hai koī
aap aa.e haiñ mere hujre par
raaz kuchh hai ki chaal hai koī
oḌh letā hai chāhe jis kī jab
terī apnī bhī khaal hai koī
kāmyābī milī hai tujh ko jo
is meñ terā kamāl hai koī
pūchh letā kabhī 'nazar' se bhī
us kā apnā savāl hai koī
apna rakhta KHayal hai koi
tere jaisa niDhaal hai koi
tera da'wa hai sach to zinda hai
is ki zinda misal hai koi
KHud hi karti hai maut se sauda
zindagi sa dalal hai koi
aap aae hain mere hujre par
raaz kuchh hai ki chaal hai koi
oDh leta hai chahe jis ki jab
teri apni bhi khaal hai koi
kaamyabi mili hai tujh ko jo
is mein tera kamal hai koi
puchh leta kabhi 'nazar' se bhi
us ka apna sawal hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.