apna sar apni hatheli pe sanbhaale nikle
apnā sar apnī hathelī pe sañbhāle nikle
zindagī yuuñ bhī tire chāhne vaale nikle
mash.aleñ tund havāoñ meñ chale haiñ le kar
tere ushshāq zamāne se nirāle nikle
saath chhoḌā na rah-e-shauq meñ āḳhir dam tak
kitne dam-sāz mire paañv ke chhāle nikle
tīrgī ġham kī baḌhī had se to aañsū ban kar
dil ke rauzan se umīdoñ ke ujāle nikle
ḳhūñ-bahā māñgte ham apnā to kis se āḳhir
jitne qātil the vo sab chāhne vaale nikle
pursish-e-hāl kī ummīd thī jin se 'nātiq'
vo bhī hoñToñ pe lagā.e hue taale nikle
apna sar apni hatheli pe sanbhaale nikle
zindagi yun bhi tere chahne wale nikle
mashalen tund hawaon mein chale hain le kar
tere ushshaq zamane se nirale nikle
sath chhoDa na rah-e-shauq mein aaKHir dam tak
kitne dam-saz mere panw ke chhaale nikle
tirgi gham ki baDhi had se to aansu ban kar
dil ke rauzan se umidon ke ujale nikle
KHun-baha mangte hum apna to kis se aaKHir
jitne qatil the wo sab chahne wale nikle
pursish-e-haal ki ummid thi jin se 'natiq'
wo bhi honTon pe lagae hue tale nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.