apna socha hua agar ho jae
apnā sochā huā agar ho jaa.e
ek aalam hamāre sar ho jaa.e
shor dasht-e-sukūt meñ kam hai
ai havā tū hī tez-tar ho jaa.e
na kareñge vo ruḳh idhar apnā
chāhe duniyā idhar-udhar ho jaa.e
dard āvāz rafta rafta bane
āh-e-shab nāla-e-sahar ho jaa.e
kitnī rāheñ khulī haiñ apne liye
dekhiye kab kidhar safar ho jaa.e
is liye hoshiyār rahtā huuñ
kyā ḳhabar kab vo be-ḳhabar ho jaa.e
apna socha hua agar ho jae
ek aalam hamare sar ho jae
shor dasht-e-sukut mein kam hai
ai hawa tu hi tez-tar ho jae
na karenge wo ruKH idhar apna
chahe duniya idhar-udhar ho jae
dard aawaz rafta rafta bane
aah-e-shab nala-e-sahar ho jae
kitni rahen khuli hain apne liye
dekhiye kab kidhar safar ho jae
is liye hoshiyar rahta hun
kya KHabar kab wo be-KHabar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.