apna to KHair zikr kya koi nahin nigah mein
apnā to ḳhair zikr kyā koī nahīñ nigāh meñ
umr tamām ho ga.ī chhoTe se ik gunāh meñ
kis kā ḳhirām-e-nāz thā kaun thā ġham kī raah meñ
nuur sā ik chamak uThā qalb-e-shab-e-siyāh meñ
kaun samajh sake use rabt-e-nihāñ kī baat hai
husn kī har adā milī ishq ke ishtibāh meñ
terī nigāh-e-nīm-vā kaam to apnā kar ga.ī
kaif-e-davām de ga.ī kulfat-e-gāh-gāh meñ
dekho charāġh-e-āgahī rāh-e-junūñ meñ bujh gayā
aql ke hosh gum haiñ ab ek hī intibāh meñ
ek maqām hai jahāñ ek haiñ aks-o-ā.ina
ishq ko jā ke dekhiye husn kī jalva-gāh meñ
dekh rahī hai aaj bhī merī nigāh-e-garm-o-tez
chhupne ko chhup ga.e ho tum parda-e-mehr-o-māh meñ
mahfil-e-zīst meñ 'sabā' hogā nazar kā haal kyā
aag sī jab bhaḌak uThī qalb-e-junūñ-panāh meñ
apna to KHair zikr kya koi nahin nigah mein
umr tamam ho gai chhoTe se ek gunah mein
kis ka KHiram-e-naz tha kaun tha gham ki rah mein
nur sa ek chamak uTha qalb-e-shab-e-siyah mein
kaun samajh sake use rabt-e-nihan ki baat hai
husn ki har ada mili ishq ke ishtibah mein
teri nigah-e-nim-wa kaam to apna kar gai
kaif-e-dawam de gai kulfat-e-gah-gah mein
dekho charagh-e-agahi rah-e-junun mein bujh gaya
aql ke hosh gum hain ab ek hi intibah mein
ek maqam hai jahan ek hain aks-o-aina
ishq ko ja ke dekhiye husn ki jalwa-gah mein
dekh rahi hai aaj bhi meri nigah-e-garm-o-tez
chhupne ko chhup gae ho tum parda-e-mehr-o-mah mein
mahfil-e-zist mein 'saba' hoga nazar ka haal kya
aag si jab bhaDak uThi qalb-e-junun-panah mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.