apna tumhein banana tha kah kar bana liya
apna tumhein banana tha kah kar bana liya
Chandrashekhar Pandey Shams
MORE BYChandrashekhar Pandey Shams
apnā tumheñ banānā thā kah kar banā liyā
tarz-e-vafā kā ik nayā daftar banā liyā
duniyā ko ġham kā dariyā kahā ahl-e-ilm ne
ham ne tumhārī yaad ko gauhar banā liyā
hāthoñ meñ us kā haath liyā aur is tarah
ḳhud ko rah-e-vafā kā sikandar banā liyā
mere lahū meñ lams tirā dauḌtā hai yuuñ
siina se dil nikāl ke sāgar banā liyā
Thokar lagā dī raah meñ jis dar ko aap ne
us dar ko sab ne miil kā patthar banā liyā
ahd-e-visāl un se qayāmat ke roz thā
to vaqt-e-hijr 'shams' ne mahshar banā liyā
apna tumhein banana tha kah kar bana liya
tarz-e-wafa ka ek naya daftar bana liya
duniya ko gham ka dariya kaha ahl-e-ilm ne
hum ne tumhaari yaad ko gauhar bana liya
hathon mein us ka hath liya aur is tarah
KHud ko rah-e-wafa ka sikandar bana liya
mere lahu mein lams tera dauDta hai yun
sina se dil nikal ke sagar bana liya
Thokar laga di rah mein jis dar ko aap ne
us dar ko sab ne mil ka patthar bana liya
ahd-e-visal un se qayamat ke roz tha
to waqt-e-hijr 'shams' ne mahshar bana liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.