apne aaba se bahut dur hua jata hai
apne aabā se bahut duur huā jaatā hai
aadmī ishq meñ majbūr huā jaatā hai
is meñ kyā chāñd sitāroñ ko qabāhat hogī
zarra-e-ḳhāk agar nuur huā jaatā hai
dekhnā yaar vahī hogā vahī honā hai jo
mere allāh ko manzūr huā jaatā hai
dard aisā ki baḌhtā hai mire siine meñ
zaḳhm aisā ki nāsūr huā jaatā hai
naqsh ban kar yahī ubhregā sar-e-sehn-e-jahāñ
aks manzar meñ jo mastūr huā jaatā hai
us ke ruḳhsār se hotā huā lab tak pahuñchā
ashk to mashrab-e-añgūr huā jaatā hai
maiñ use chāhte rahne meñ huuñ masrūf 'fidā'
ye gunah mujh se ba-dastūr huā jaatā hai
apne aaba se bahut dur hua jata hai
aadmi ishq mein majbur hua jata hai
is mein kya chand sitaron ko qabahat hogi
zarra-e-KHak agar nur hua jata hai
dekhna yar wahi hoga wahi hona hai jo
mere allah ko manzur hua jata hai
dard aisa ki baDhta hai mere sine mein
zaKHm aisa ki nasur hua jata hai
naqsh ban kar yahi ubhrega sar-e-sehn-e-jahan
aks manzar mein jo mastur hua jata hai
us ke ruKHsar se hota hua lab tak pahuncha
ashk to mashrab-e-angur hua jata hai
main use chahte rahne mein hun masruf 'fida'
ye gunah mujh se ba-dastur hua jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.