apne aap se bhi duniya mein begana ban jata hai
apne aap se bhi duniya mein begana ban jata hai
Tufail Hoshiarpuri
MORE BYTufail Hoshiarpuri
apne aap se bhī duniyā meñ begāna ban jaatā hai
tum jis ko dīvāna kah do dīvāna ban jaatā hai
dil kā aanā ek qayāmat jitne muñh utnī bāteñ
hotī hai ik baat zarā sī afsāna ban jaatā hai
jām-o-subū kī qaid nahīñ hai pīr-e-muġhāñ kī shart nahīñ
rind jahāñ sāġhar chhalkā deñ mai-ḳhāna ban jaatā hai
ishq kā bhī anjām vahī hai husn kā bhī anjām vahī
jalte jalte sham.a kā dil bhī parvāna ban jaatā hai
jis gulshan par paḌ jaatā hai partav aap kī āñkhoñ kā
us gulshan kā ġhuncha ġhuncha paimāna ban jaatā hai
bhūlī-bisrī yādoñ ke yuuñ naqsh ubharte rahte haiñ
ka.aba in tasvīroñ se hī but-ḳhāna ban jaatā hai
dil kā raaz chhupā letā hai ḳhāmoshī ke parde meñ
had se guzar kar dīvāna bhī farzāna ban jaatā hai
ḳhūn-e-jigar se rangīñ ho kar jo palkoñ tak aa jaa.e
vo aañsū darbār-e-vafā meñ nazrāna ban jaatā hai
sahrā gulshan ban jaate haiñ dil ho agar ābād 'tufail'
dil ujḌe to gulshan gulshan vīrāna ban jaatā hai
apne aap se bhi duniya mein begana ban jata hai
tum jis ko diwana kah do diwana ban jata hai
dil ka aana ek qayamat jitne munh utni baaten
hoti hai ek baat zara si afsana ban jata hai
jam-o-subu ki qaid nahin hai pir-e-mughan ki shart nahin
rind jahan saghar chhalka den mai-KHana ban jata hai
ishq ka bhi anjam wahi hai husn ka bhi anjam wahi
jalte jalte shama ka dil bhi parwana ban jata hai
jis gulshan par paD jata hai partaw aap ki aankhon ka
us gulshan ka ghuncha ghuncha paimana ban jata hai
bhuli-bisri yaadon ke yun naqsh ubharte rahte hain
kaba in taswiron se hi but-KHana ban jata hai
dil ka raaz chhupa leta hai KHamoshi ke parde mein
had se guzar kar diwana bhi farzana ban jata hai
KHun-e-jigar se rangin ho kar jo palkon tak aa jae
wo aansu darbar-e-wafa mein nazrana ban jata hai
sahra gulshan ban jate hain dil ho agar aabaad 'tufail'
dil ujDe to gulshan gulshan virana ban jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.