apne afkar ko jazbaat mein Dhaalo to sahi
apne afkār ko jazbāt meñ Dhālo to sahī
raah manzil ke liye koī nikālo to sahī
toḌ do baḌh ke har ik lab pe lagī mohr-e-sukūt
naġhma-e-soz ko phir saaz meñ Dhālo to sahī
sub.h-e-ummīd bhī ho shām-e-tamannā bhī rahe
aisā mausam koī āñkhoñ meñ basā lo to sahī
bin piye hosh meñ rahnā to bahut hai āsāñ
pī ke ab laġhzish-e-pā apnī sañbhālo to sahī
jis kī tā'bīr mohabbat ke sivā kuchh bhī na ho
ḳhvāb aisā koī āñkhoñ meñ basā lo to sahī
dur-e-nāyāb tumheñ ab bhī mayassar hoñge
bahr-e-zaḳhḳhār kī tah ko bhī khañgālo to sahī
apne afkar ko jazbaat mein Dhaalo to sahi
rah manzil ke liye koi nikalo to sahi
toD do baDh ke har ek lab pe lagi mohr-e-sukut
naghma-e-soz ko phir saz mein Dhaalo to sahi
subh-e-ummid bhi ho sham-e-tamanna bhi rahe
aisa mausam koi aankhon mein basa lo to sahi
bin piye hosh mein rahna to bahut hai aasan
pi ke ab laghzish-e-pa apni sanbhaalo to sahi
jis ki ta'bir mohabbat ke siwa kuchh bhi na ho
KHwab aisa koi aankhon mein basa lo to sahi
dur-e-nayab tumhein ab bhi mayassar honge
bahr-e-zaKHKHar ki tah ko bhi khangalo to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.