apne ashkon ke KHurafat se Dar lagne laga
apne ashkoñ ke ḳhurāfāt se Dar lagne lagā
jism miTTī kā hai barsāt se Dar lagne lagā
raushnī kī koī ummīd na ham se rakhiye
ham vo jugnū haiñ jinheñ raat se Dar lagne lagā
apne hoñToñ ke tabassum ko kahāñ dafnā.ūñ
in sisakte hue lamhāt se Dar lagne lagā
qais sāhab kā paḌhā jab se fasāna maiñ ne
'ishq kī mujh ko havālāt se Dar lagne lagā
hosh kho baiThī hai jazbāt meñ aa kar duniyā
dil ke uThte hue jazbāt se Dar lagne lagā
apne ashkon ke KHurafat se Dar lagne laga
jism miTTi ka hai barsat se Dar lagne laga
raushni ki koi ummid na hum se rakhiye
hum wo jugnu hain jinhen raat se Dar lagne laga
apne honTon ke tabassum ko kahan dafnaun
in sisakte hue lamhat se Dar lagne laga
qais sahab ka paDha jab se fasana main ne
'ishq ki mujh ko hawalat se Dar lagne laga
hosh kho baiThi hai jazbaat mein aa kar duniya
dil ke uThte hue jazbaat se Dar lagne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.