apne baatin mein sameTe hue Dar aata hai
apne baatin mein sameTe hue Dar aata hai
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
apne bātin meñ sameTe hue Dar aatā hai
ik parinda jo mire sar pe utar aatā hai
baat kartā hai mohabbat meñ junūñ kī koī
aur ik daaġh sā siine pe ubhar aatā hai
kashtiyāñ biich samundar meñ ulaT jaatī haiñ
phir madad karne ko ḳhud.dār bhañvar aatā hai
mujh pe ālām kī kasrat se ta.ajjub kaisā
kuchh daraḳhtoñ pe ka.ī baar samar aatā hai
saiñkaḌoñ zard ḳharāsheñ bhī pas-e-parda haiñ
ye jo ab chehra mirā saaf nazar aatā hai
phir kisī dil meñ utarnā nahīñ mushkil 'jāmī'
sher-goī kā agar tujh ko hunar aatā hai
apne baatin mein sameTe hue Dar aata hai
ek parinda jo mere sar pe utar aata hai
baat karta hai mohabbat mein junun ki koi
aur ek dagh sa sine pe ubhar aata hai
kashtiyan bich samundar mein ulaT jati hain
phir madad karne ko KHuddar bhanwar aata hai
mujh pe aalam ki kasrat se tajjub kaisa
kuchh daraKHton pe kai bar samar aata hai
sainkaDon zard KHarashen bhi pas-e-parda hain
ye jo ab chehra mera saf nazar aata hai
phir kisi dil mein utarna nahin mushkil 'jami'
sher-goi ka agar tujh ko hunar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.