apne bandon ko wo deta hai talab se zyaada
apne bandoñ ko vo detā hai talab se zyāda
kis ke ehsān haiñ insān pe rab se zyāda
mujh ko vo chāñd mayassar nahīñ aayā jab tak
mere andar kī thī tārīkiyāñ shab se zyāda
vo koī aur haiñ jo dekhte haiñ nām-o-nasab
mere nazdīk hai insān nasab se zyāda
pahle se zyāda tirā pyaar hai mere dil meñ
aage maiñ 'ishq karūñgī tujhe ab se zyāda
us ne 'alkā' nahīñ rakkhā hai kahīñ merā shumār
maiñ ne chāhā thā jise duniyā meñ sab se zyāda
apne bandon ko wo deta hai talab se zyaada
kis ke ehsan hain insan pe rab se zyaada
mujh ko wo chand mayassar nahin aaya jab tak
mere andar ki thi tarikiyan shab se zyaada
wo koi aur hain jo dekhte hain nam-o-nasab
mere nazdik hai insan nasab se zyaada
pahle se zyaada tera pyar hai mere dil mein
aage main 'ishq karungi tujhe ab se zyaada
us ne 'alka' nahin rakkha hai kahin mera shumar
main ne chaha tha jise duniya mein sab se zyaada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.