apne chehre ki ziya de ke ujalo mujhko
apne chehre kī ziyā de ke ujālo mujh ko
pur-sukūñ jiitā huuñ uljhan meñ hī Daalo mujh ko
niiñd utrī nahīñ āñkhoñ meñ baḌī muddat se
reshmī zulf ke saa.e meñ sulā lo mujh ko
DhūñD lo pahle ḳhatāoñ kā mirī koī subūt
be-sabab yuuñ to na mahfil se nikālo mujh ko
nafrateñ mere ta.āqub meñ chalī aatī haiñ
ain mumkin hai bikhar jā.ūñ sa.mbhālo mujh ko
maiñ ne sar baar liye vo jo mire the hī nahīñ
qurb itnā sā karo mujh se churā lo mujh ko
haath hai dost koī kaasa gadā.ī kā nahīñ
thaam lo baḌh ke ise aise na Taalo mujh ko
dāstāñ koī kathā hai na kahānī koī
kuchh ugalne kā nahīñ jaise khañgālo mujh ko
aaj barsāt hai bādal hai fazā.eñ mahkī
giit huuñ pyaar kā hoñToñ pe sajā lo mujh ko
jis kī 'hasrat' thī tumheñ maiñ vo tumhārī manzil
gar huuñ mehnat kā sila apnā banā lo mujh ko
apne chehre ki ziya de ke ujalo mujh ko
pur-sukun jita hun uljhan mein hi Dalo mujh ko
nind utri nahin aankhon mein baDi muddat se
reshmi zulf ke sae mein sula lo mujh ko
DhunD lo pahle KHataon ka meri koi subut
be-sabab yun to na mahfil se nikalo mujh ko
nafraten mere taaqub mein chali aati hain
ain mumkin hai bikhar jaun sambhaalo mujh ko
main ne sar bar liye wo jo mere the hi nahin
qurb itna sa karo mujh se chura lo mujh ko
hath hai dost koi kasa gadai ka nahin
tham lo baDh ke ise aise na Talo mujh ko
dastan koi katha hai na kahani koi
kuchh ugalne ka nahin jaise khangalo mujh ko
aaj barsat hai baadal hai fazaen mahki
git hun pyar ka honTon pe saja lo mujh ko
jis ki 'hasrat' thi tumhein main wo tumhaari manzil
gar hun mehnat ka sila apna bana lo mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.