apne chehre par bhi chup ki rakh mal jaenge hum
apne chehre par bhī chup kī raakh mal jā.eñge ham
ab tirī mānind sochā hai badal jā.eñge ham
aag jo ham ne jalā.ī hai tahaffuz ke liye
us ke sho.aloñ kī lapaT meñ ghar ke jal jā.eñge ham
ḳhatm hai ahd-e-zamistāñ dhuup meñ hiddat sī hai
ek anjāne safar par ab nikal jā.eñge ham
zindagī apnī asāsī yā qayāsī jo bhī ho
ḳhvāb ban kar aa.e mānind-e-ġhazal jā.eñge ham
mustaqil ik ruup kab tak is tarah dhāre phireñ
vaqt ke sayyāl paimāne meñ Dhal jā.eñge ham
tū agar be-mantiqī par dil kī hañstā hai to kyā
dil jidhar le jaa.e qassam-e-azal jā.eñge ham
chāñdnī meñ saare dukh tahlīl karne ke liye
ghar hai apnā aaj yā 'shāhīn' kal jā.eñge ham
apne chehre par bhi chup ki rakh mal jaenge hum
ab teri manind socha hai badal jaenge hum
aag jo hum ne jalai hai tahaffuz ke liye
us ke shoalon ki lapaT mein ghar ke jal jaenge hum
KHatm hai ahd-e-zamistan dhup mein hiddat si hai
ek anjaane safar par ab nikal jaenge hum
zindagi apni asasi ya qayasi jo bhi ho
KHwab ban kar aae manind-e-ghazal jaenge hum
mustaqil ek rup kab tak is tarah dhaare phiren
waqt ke sayyal paimane mein Dhal jaenge hum
tu agar be-mantiqi par dil ki hansta hai to kya
dil jidhar le jae qassam-e-azal jaenge hum
chandni mein sare dukh tahlil karne ke liye
ghar hai apna aaj ya 'shahin' kal jaenge hum
- Book : Be-nishaan (Pg. 151)
- Author : wali aalam Shahiin
- Publication : Dabistan-e-jadeed (1984)
- Edition : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.