apne dil ko niDhaal kya karte
apne dil ko niDhāl kyā karte
tum se ham arz-e-hāl kyā karte
ham vafā tark aap se kar ke
apnā jiinā muhāl kyā karte
jab kisī kaam kā nahīñ hai to
dil kī ham dekh-bhāl kyā karte
jis ne qadmoñ meñ rakh diyā sar ko
us ko ham lā-zavāl kyā karte
ek shahkār jo ḳhudā kā ho
us pe ham kuchh kamāl kyā karte
aap ḳhud jo misāl ho apnī
us ko ham be-misāl kyā karte
terā chehra shafaq kī iid banā
dekh kar ham hilāl kyā karte
apne dil ko niDhaal kya karte
tum se hum arz-e-haal kya karte
hum wafa tark aap se kar ke
apna jina muhaal kya karte
jab kisi kaam ka nahin hai to
dil ki hum dekh-bhaal kya karte
jis ne qadmon mein rakh diya sar ko
us ko hum la-zawal kya karte
ek shahkar jo KHuda ka ho
us pe hum kuchh kamal kya karte
aap KHud jo misal ho apni
us ko hum be-misal kya karte
tera chehra shafaq ki id bana
dekh kar hum hilal kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.