apne dil par hi nahin hai mujhe qabu bolo
apne dil par hī nahīñ hai mujhe qaabū bolo
tum ne kar to nahīñ rakkhā koī jaadū bolo
jitnī pyārī tirī āñkheñ haiñ tirā lahja hai
sirf itnā hī kahūñgā tujhe urdu bolo
dil jigar jis se ho ghāyal ye vahī aala hai
apnī nazroñ ko nazar tum nahīñ chāqū bolo
ab vo tahzīb-o-tamaddun kahīñ madfūn huī
is salīqe se mirī jaan na urdu bolo
apne dāman meñ samo lete ho jis ko 'ārif'
vo lahū hotā hai dil kā magar aañsū bolo
apne dil par hi nahin hai mujhe qabu bolo
tum ne kar to nahin rakkha koi jadu bolo
jitni pyari teri aankhen hain tera lahja hai
sirf itna hi kahunga tujhe urdu bolo
dil jigar jis se ho ghayal ye wahi aala hai
apni nazron ko nazar tum nahin chaqu bolo
ab wo tahzib-o-tamaddun kahin madfun hui
is saliqe se meri jaan na urdu bolo
apne daman mein samo lete ho jis ko 'arif'
wo lahu hota hai dil ka magar aansu bolo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.