apne dukhon ko soch ke rota hai aadmi
apne dukhoñ ko soch ke rotā hai aadmī
varna kahāñ ye palkeñ bhigotā hai aadmī
avval hamesha ḳhud ko samajhtā hai kyā kare
jab aadmī ke sāmne hotā hai aadmī
apne nasīb ke liye hai ḳhud hī zimma-dār
karmoñ kī apne poTlī Dhotā hai aadmī
jīvan kisī ne apnā mukammal kahāñ jiyā
aadhe se kuchh ziyāda to sotā hai aadmī
dhaḌkan ke motiyoñ ko hī sāñsoñ kī Dor meñ
har vaqt apne aap pirotā hai aadmī
rāhoñ meñ gul mileñge ki kāñTe bichhe hue
ugtī vahī hai fasl jo botā hai aadmī
jaatā kahāñ hai ye to kisī ko ḳhabar nahīñ
'hashmat' jahāñ se jab judā hotā hai aadmī
apne dukhon ko soch ke rota hai aadmi
warna kahan ye palken bhigota hai aadmi
awwal hamesha KHud ko samajhta hai kya kare
jab aadmi ke samne hota hai aadmi
apne nasib ke liye hai KHud hi zimma-dar
karmon ki apne poTli Dhota hai aadmi
jiwan kisi ne apna mukammal kahan jiya
aadhe se kuchh ziyaada to sota hai aadmi
dhaDkan ke motiyon ko hi sanson ki Dor mein
har waqt apne aap pirota hai aadmi
rahon mein gul milenge ki kanTe bichhe hue
ugti wahi hai fasl jo bota hai aadmi
jata kahan hai ye to kisi ko KHabar nahin
'hashmat' jahan se jab juda hota hai aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.