apne dushman ko bhi jo shaKHs dua deta hai
apne dushman ko bhi jo shaKHs dua deta hai
Tahir Saood Kiratpuri
MORE BYTahir Saood Kiratpuri
apne dushman ko bhī jo shaḳhs du'ā detā hai
tū use us kā namak khā ke daġhā detā hai
saat tāloñ meñ bhī pahchān nahīñ chhuptī hai
terā lahja tire shajre kā pata detā hai
ye rivāyat bhī rivāyat hī huī hai sābit
'ishq mā'shūq kā har 'aib chhupā detā hai
kab kahāñ kaun sā kirdār adā karnā hai
vaqt hī vaqt pe ye khel sikhā detā hai
kabhī ḳhāmoshī ko ḳhāmosh karā kar dikhlā.e
shor-e-dariyā mirī āvāz dabā detā hai
yuuñ to paise kī koī zaat nahīñ hai lekin
ek rote hue bachche ko hañsā detā hai
aisā kuchh log bhī karte haiñ ka.ī baar 'sa'ūd'
jaise tezāb daraḳhtoñ ko sukhā detā hai
apne dushman ko bhi jo shaKHs du'a deta hai
tu use us ka namak kha ke dagha deta hai
sat talon mein bhi pahchan nahin chhupti hai
tera lahja tere shajre ka pata deta hai
ye riwayat bhi riwayat hi hui hai sabit
'ishq ma'shuq ka har 'aib chhupa deta hai
kab kahan kaun sa kirdar ada karna hai
waqt hi waqt pe ye khel sikha deta hai
kabhi KHamoshi ko KHamosh kara kar dikhlae
shor-e-dariya meri aawaz daba deta hai
yun to paise ki koi zat nahin hai lekin
ek rote hue bachche ko hansa deta hai
aisa kuchh log bhi karte hain kai bar 'sa'ud'
jaise tezab daraKHton ko sukha deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.