apne fan ki koi tasir dikha pani mein
apne fan kī koī tāsīr dikhā paanī meñ
us ke lahje kī tarah harf sajā paanī meñ
sādgī terī yahāñ kaun samajh pā.egā
baat kuchh aise binā aag lagā paanī meñ
ik nazar paḌte hī fitrat bhī badal jaatī hai
kaisī tāsīr hai is ghar ke havā paanī meñ
hashr tak ḳhair kā sāmān huī sab ke liye
tere yūnus ne paḌhī aisī duā paanī meñ
rang tasvīr meñ aisā na sajā paayā koī
chāñdnī raat kā jo aks banā paanī meñ
laakh tairāk hai maujoñ pe hukūmat hai magar
tairne vaalā hī paatā hai daġhā paanī meñ
motiyoñ ke liye paanī meñ gayā thā 'shāhid'
haath to kyā hī lagā jaañ se gayā paanī meñ
apne fan ki koi tasir dikha pani mein
us ke lahje ki tarah harf saja pani mein
sadgi teri yahan kaun samajh paega
baat kuchh aise bina aag laga pani mein
ek nazar paDte hi fitrat bhi badal jati hai
kaisi tasir hai is ghar ke hawa pani mein
hashr tak KHair ka saman hui sab ke liye
tere yunus ne paDhi aisi dua pani mein
rang taswir mein aisa na saja paya koi
chandni raat ka jo aks bana pani mein
lakh tairak hai maujon pe hukumat hai magar
tairne wala hi pata hai dagha pani mein
motiyon ke liye pani mein gaya tha 'shahid'
hath to kya hi laga jaan se gaya pani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.