apne gale laga le mujhe yar ki tarah
apne gale lagā le mujhe yaar kī tarah
kab tak paḌā rahūñgā yuuñ bīmār kī tarah
ilzām jis ke hisse ke baiThā huuñ sar liye
vo dekhtā hai mujh ko gunahgār kī tarah
āñkhoñ se guftugū kī tamanna to hai magar
nazreñ haiñ hū-ba-hū tirī talvār kī tarah
ik ruuh kī talab mujhe laa.ī thī maut tak
ik jism ne bachā liyā har baar kī tarah
apne gale laga le mujhe yar ki tarah
kab tak paDa rahunga yun bimar ki tarah
ilzam jis ke hisse ke baiTha hun sar liye
wo dekhta hai mujh ko gunahgar ki tarah
aankhon se guftugu ki tamanna to hai magar
nazren hain hu-ba-hu teri talwar ki tarah
ek ruh ki talab mujhe lai thi maut tak
ek jism ne bacha liya har bar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.