apne gham-KHane ka qissa apne virane ki baat
apne gham-KHane ka qissa apne virane ki baat
Zaheer-ul-Hasan Tishna
MORE BYZaheer-ul-Hasan Tishna
apne ġham-ḳhāne kā qissa apne vīrāne kī baat
aap se ham kyoñ kaheñ apne sanam-ḳhāne kī baat
raaz kyā hai mai-kashī meñ kyā hai paimāne kī baat
tujh ko kyā ma.alūm zāhid kyā hai maiḳhāne kī baat
ab bahut hī chuur haiñ ham bād-e-ġham se ai nadīm
kuchh hoñ maiḳhāne kī bāteñ kuchh ho paimāne kī baat
ab tumhārī ḳhāmushī se ghuT rahā hai dam mirā
kuchh karo phir kuchh karo tum dil ke taḌpāne kī baat
aaoge tum yā na aaoge mujhe ma.alūm hai
kam yahī kyā hai jo tum karte ho bahlāne kī baat
maiñ ne chāhā thā tumheñ tum ne bhī chāhā thā mujhe
ye kahānī hai purānī ye hai afsāne kī baat
yā ilāhī ḳhair ho ab dekhiye hotā hai kyā
sun rahe haiñ ġhaur se vo aaj dīvāne kī baat
maiñ ne jab kholī zabāñ to hogī vo hī baat talḳh
aap to karte haiñ jaise phuul barsāne kī baat
kis ko aatā hai ḳhushī meñ ek bekas kā ḳhayāl
kaun ai 'tishna' kare gulshan meñ vīrāne kī baat
apne gham-KHane ka qissa apne virane ki baat
aap se hum kyon kahen apne sanam-KHane ki baat
raaz kya hai mai-kashi mein kya hai paimane ki baat
tujh ko kya malum zahid kya hai maiKHane ki baat
ab bahut hi chur hain hum baad-e-gham se ai nadim
kuchh hon maiKHane ki baaten kuchh ho paimane ki baat
ab tumhaari KHamushi se ghuT raha hai dam mera
kuchh karo phir kuchh karo tum dil ke taDpane ki baat
aaoge tum ya na aaoge mujhe malum hai
kam yahi kya hai jo tum karte ho bahlane ki baat
main ne chaha tha tumhein tum ne bhi chaha tha mujhe
ye kahani hai purani ye hai afsane ki baat
ya ilahi KHair ho ab dekhiye hota hai kya
sun rahe hain ghaur se wo aaj diwane ki baat
main ne jab kholi zaban to hogi wo hi baat talKH
aap to karte hain jaise phul barsane ki baat
kis ko aata hai KHushi mein ek bekas ka KHayal
kaun ai 'tishna' kare gulshan mein virane ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.