apne gham KHud hi sambhaalo ab nahin aaunga main
apne ġham ḳhud hī sa.mbhālo ab nahīñ ā.uñgā maiñ
zaḳhm siine ke chhupā lo ab nahīñ ā.uñgā maiñ
kyoñ bulātī ho hameñ kahtā huuñ tum ko baar baar
jaao ik bastī basā lo ab nahīñ ā.uñgā maiñ
phuul se aur raushnī se ghar ko raushan kar ke tum
chāhe ghar jannat banā lo ab nahīñ ā.uñgā maiñ
āḳhirī mauqe pe ham ne ḳhud hī us se kah diyā
tum kisī se dil lagā lo ab nahīñ ā.uñgā maiñ
apne gham KHud hi sambhaalo ab nahin aaunga main
zaKHm sine ke chhupa lo ab nahin aaunga main
kyon bulati ho hamein kahta hun tum ko bar bar
jao ek basti basa lo ab nahin aaunga main
phul se aur raushni se ghar ko raushan kar ke tum
chahe ghar jannat bana lo ab nahin aaunga main
aaKHiri mauqe pe hum ne KHud hi us se kah diya
tum kisi se dil laga lo ab nahin aaunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.