apne ghar ka mujhe mehman bahut karta hai
apne ghar kā mujhe mehmān bahut kartā hai
merā hamdam mirā sammān bahut kartā hai
fikr 'uqbā kī nahīñ qalb meñ haa.e afsos
fikr duniyā kī ye insān bahut kartā hai
pārsā us ko maiñ kahtā huuñ kahūñgā har dam
apnī baḳhshish kā jo sāmān bahut kartā huuñ
sher-dil ḳhud ko batātā hai bashar vo lekin
ranj kam sahtā hai e'lān bahut kartā hai
jā baḌhā us kī taraf apnā qadam ab tū bhī
tujh se milne kā vo armān bahut kartā hai
haq kī bātoñ pe 'amal bhī to zarūrī hai miyāñ
chār-sū haq kā to e'lān bahut kartā hai
chāhtā jab bhī hai tadbīr se apnī 'nāzāñ'
hukmrāñ vaqt kā hairān bahut kartā hai
apne ghar ka mujhe mehman bahut karta hai
mera hamdam mera samman bahut karta hai
fikr 'uqba ki nahin qalb mein hae afsos
fikr duniya ki ye insan bahut karta hai
parsa us ko main kahta hun kahunga har dam
apni baKHshish ka jo saman bahut karta hun
sher-dil KHud ko batata hai bashar wo lekin
ranj kam sahta hai e'lan bahut karta hai
ja baDha us ki taraf apna qadam ab tu bhi
tujh se milne ka wo arman bahut karta hai
haq ki baaton pe 'amal bhi to zaruri hai miyan
chaar-su haq ka to e'lan bahut karta hai
chahta jab bhi hai tadbir se apni 'nazan'
hukmran waqt ka hairan bahut karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.