apne ghar se wo mere ghar aa gaya
apne ghar se vo mire ghar aa gayā
chāñd āḳhir had ke bāhar aa gayā
ḳhat pahuñch saktā hai ab ummīd hai
us kā patthar merī chhat par aa gayā
vo ḳhafā to hai magar zyāda nahīñ
de ke ḳhat zinda kabūtar aa gayā
raat mujh ko ḳhvāb par hairat huī
haath phailā.e samundar aa gayā
tū bhī qāsid āj-kal pāgal hai kuchh
kis kā ḳhat thā kis ko de kar aa gayā
jāgte guzrī na ho us kī bhī raat
maiñ ḳhudā-hāfiz to kah kar aa gayā
band muTThī apnī 'anvar' khul ga.ī
sāmne jab bhī sikandar aa gayā
apne ghar se wo mere ghar aa gaya
chand aaKHir had ke bahar aa gaya
KHat pahunch sakta hai ab ummid hai
us ka patthar meri chhat par aa gaya
wo KHafa to hai magar zyaada nahin
de ke KHat zinda kabutar aa gaya
raat mujh ko KHwab par hairat hui
hath phailae samundar aa gaya
tu bhi qasid aaj-kal pagal hai kuchh
kis ka KHat tha kis ko de kar aa gaya
jagte guzri na ho us ki bhi raat
main KHuda-hafiz to kah kar aa gaya
band muTThi apni 'anwar' khul gai
samne jab bhi sikandar aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.