apne ghar usne baat ki thi meri
apne ghar us ne baat kī thī mirī
aur phir shāmat aa ga.ī thī mirī
chāñd ik baam par utar gayā thā
aur vo raat āḳhirī thī mirī
kyā karūñ us ke haath kaT ga.e the
jis ke hāthoñ meñ zindagī thī mirī
paañv chādar se bāhar aa rahe the
ḳhvāhish auqāt se baḌī thī mirī
haath vo kal kisī ke haath meñ thā
aur us haath meñ ghaḌī thī mirī
apne ghar us ne baat ki thi meri
aur phir shamat aa gai thi meri
chand ek baam par utar gaya tha
aur wo raat aaKHiri thi meri
kya karun us ke hath kaT gae the
jis ke hathon mein zindagi thi meri
panw chadar se bahar aa rahe the
KHwahish auqat se baDi thi meri
hath wo kal kisi ke hath mein tha
aur us hath mein ghaDi thi meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.