apne haalat ki un tak na KHabar jaane de
apne hālāt kī un tak na ḳhabar jaane de
ab to jo dil pe guzartī hai guzar jaane de
zindagī tū ne mujhe chain se jiine na diyā
ab jo ārām se martā huuñ to mar jaane de
tujh pe ho jā.egā ik roz masīhā kā karam
dard ko zabt kī manzil se guzar jaane de
daur-e-hāzir kā vo mansūr bhī ban jā.egā
jazba-e-dār zarā aur nikhar jaane de
ye ta.assub kī havā.eñ ye adāvat kā ġhubār
aise tūfāñ ko dabe paañv guzar jaane de
ik na ik roz badal jā.egā farsūda nizām
zulf-e-gītī ke zarā ḳham to sañvar jaane de
phir batā.ūñgā tujhe ālam-e-mastī kyā hai
sabr kā mere zarā jaam to bhar jaane de
maiñ tire saath bahut duur nikal aaya huuñ
zindagī ab to mujhe lauT ke ghar jaane de
maiñ mohabbat huuñ mire dam se hai duniyā meñ bahār
mujh ko ḳhushbū kī tarah 'shauq' bikhar jaane de
apne haalat ki un tak na KHabar jaane de
ab to jo dil pe guzarti hai guzar jaane de
zindagi tu ne mujhe chain se jine na diya
ab jo aaram se marta hun to mar jaane de
tujh pe ho jaega ek roz masiha ka karam
dard ko zabt ki manzil se guzar jaane de
daur-e-hazir ka wo mansur bhi ban jaega
jazba-e-dar zara aur nikhar jaane de
ye tassub ki hawaen ye adawat ka ghubar
aise tufan ko dabe panw guzar jaane de
ek na ek roz badal jaega farsuda nizam
zulf-e-giti ke zara KHam to sanwar jaane de
phir bataunga tujhe aalam-e-masti kya hai
sabr ka mere zara jam to bhar jaane de
main tere sath bahut dur nikal aaya hun
zindagi ab to mujhe lauT ke ghar jaane de
main mohabbat hun mere dam se hai duniya mein bahaar
mujh ko KHushbu ki tarah 'shauq' bikhar jaane de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.