apne hathon mein mohabbat se mera hat liye
apne hāthoñ meñ mohabbat se mirā haat liye
chāñdnī aa.ī magar hijr kī sauġhāt liye
dil ke jalte hue zaḳhmoñ ke nagar meñ ai dost
kaun phir aaya hai ashkoñ kī ye barsāt liye
dekh ye manzar-e-dil-doz ki hai qābil-e-dīd
sub.h-e-nau mere liye aa.ī siyah raat liye
ban ga.ī jo kabhī naġhma kabhī jugnū kabhī phuul
de ke sarmāya-e-jāñ ham ne vo jazbāt liye
mere ghar meñ to charāġhoñ kā dhuāñ tak bhī nahīñ
raat niklī hai hasīñ chāñd kī bārāt liye
dil jo TuuTā to har ik sāz-e-tarab TuuT gayā
'raaj ham rote rahe dard ke jazbāt liye
apne hathon mein mohabbat se mera hat liye
chandni aai magar hijr ki saughat liye
dil ke jalte hue zaKHmon ke nagar mein ai dost
kaun phir aaya hai ashkon ki ye barsat liye
dekh ye manzar-e-dil-doz ki hai qabil-e-did
subh-e-nau mere liye aai siyah raat liye
ban gai jo kabhi naghma kabhi jugnu kabhi phul
de ke sarmaya-e-jaan hum ne wo jazbaat liye
mere ghar mein to charaghon ka dhuan tak bhi nahin
raat nikli hai hasin chand ki baraat liye
dil jo TuTa to har ek saz-e-tarab TuT gaya
'raj hum rote rahe dard ke jazbaat liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.