apne hathon mein uThae hue sar aa gae hain
apne hāthoñ meñ uThā.e hue sar aa ga.e haiñ
ai mire teġh-ba-kaf tishna-jigar aa ga.e haiñ
fasl-e-jāñ kāTne vāloñ ko ḳhabar kar denā
phir bahār aa ga.ī phir shānoñ pe sar aa ga.e haiñ
tesha-andāz rahe raushniyoñ ke lashkar
ḳhud-ba-ḳhud kab mirī dīvār meñ dar aa ga.e haiñ
pāra-e-abr bhī kyā dast-e-hunar rakhtā thā
peḌ sarsabz hue barg-o-samar aa ga.e haiñ
ḳhāk-e-rah us kī uThā.ī hai to kyā dekhtā huuñ
merī muTThī meñ ka.ī shams-o-qamar aa ga.e haiñ
āsmāñ itnī ra.ūnat nahīñ achchhī hotī
kyā ḳhabar tujh ko nahīñ hai mire par aa ga.e haiñ
sar-phirī dhuup se maiñ ne jo nimaTnā chāhā
āftāboñ kī himāyat meñ shajar aa ga.e haiñ
chāhiye jin ke liye aañkh ke andar ik aañkh
ham ko aksar vo manāzir bhī nazar aa ga.e haiñ
rang be-kaif jo haiñ kū-e-tavajjoh ke to kyā
tere dīvāne tire zer-e-asar aa ga.e haiñ
us kī āvāz pe labbaik kī āvāz abas
darmiyāñ ahd-e-guzashta ke khañDar aa ga.e haiñ
aaj dariyā ne dikhā.ī hai baḌī fayyāzī
mere hāthoñ meñ bhī do-chār guhar aa ga.e haiñ
mil ga.e harf-o-navā us ke tabassum se mujhe
shāḳh-e-iz.hār pe bhī barg-o-samar aa ga.e haiñ
us ke bach bach ke guzarne se huā hai zāhir
merī āñkhoñ meñ use ḳhvāb nazar aa ga.e haiñ
ab vo jazbāt meñ garmī na tamanna na umang
rāsta bhuul ke ham log kidhar aa ga.e haiñ
ai charāġho suno ab dast-e-duā kar lo buland
jin kī jānib thā ishāra vo khañDar aa ga.e haiñ
hijrateñ oḌh ke nikle the parinde 'yāvar'
shaam aa.ī hai to phir lauT ke ghar aa ga.e haiñ
apne hathon mein uThae hue sar aa gae hain
ai mere tegh-ba-kaf tishna-jigar aa gae hain
fasl-e-jaan kaTne walon ko KHabar kar dena
phir bahaar aa gai phir shanon pe sar aa gae hain
tesha-andaz rahe raushniyon ke lashkar
KHud-ba-KHud kab meri diwar mein dar aa gae hain
para-e-abr bhi kya dast-e-hunar rakhta tha
peD sarsabz hue barg-o-samar aa gae hain
KHak-e-rah us ki uThai hai to kya dekhta hun
meri muTThi mein kai shams-o-qamar aa gae hain
aasman itni raunat nahin achchhi hoti
kya KHabar tujh ko nahin hai mere par aa gae hain
sar-phiri dhup se main ne jo nimaTna chaha
aaftabon ki himayat mein shajar aa gae hain
chahiye jin ke liye aankh ke andar ek aankh
hum ko aksar wo manazir bhi nazar aa gae hain
rang be-kaif jo hain ku-e-tawajjoh ke to kya
tere diwane tere zer-e-asar aa gae hain
us ki aawaz pe labbaik ki aawaz abas
darmiyan ahd-e-guzashta ke khanDar aa gae hain
aaj dariya ne dikhai hai baDi fayyazi
mere hathon mein bhi do-chaar guhar aa gae hain
mil gae harf-o-nawa us ke tabassum se mujhe
shaKH-e-izhaar pe bhi barg-o-samar aa gae hain
us ke bach bach ke guzarne se hua hai zahir
meri aankhon mein use KHwab nazar aa gae hain
ab wo jazbaat mein garmi na tamanna na umang
rasta bhul ke hum log kidhar aa gae hain
ai charagho suno ab dast-e-dua kar lo buland
jin ki jaanib tha ishaara wo khanDar aa gae hain
hijraten oDh ke nikle the parinde 'yawar'
sham aai hai to phir lauT ke ghar aa gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.