apne hathon se bana kar kashtiyan barish ki sham
apne hāthoñ se banā kar kashtiyāñ bārish kī shaam
maiñ ne paanī meñ bahā diiñ chiTThiyāñ bārish kī shaam
dil ke daftar meñ vo manzar aaj bhī mahfūz hai
garm coffē balcony sardiyāñ bārish kī shaam
ro ke dil kī Tahniyoñ par aise aaya hai shabāb
jis tarah bhīgī huī hoñ laḌkiyāñ bārish kī shaam
raqs meñ hai qasr-e-shāhī jashn hai barsāt kā
kyā kareñ kachche gharoñ kī bastiyāñ bārish kī shaam
jis qadar ye āsmāñ royā maiñ royā us qadar
dhul ga.iiñ sab dil-shajar kī Tahniyāñ bārish kī shaam
yaad aatī haiñ mujhe aksar dayār-e-ġhair meñ
maañ kī mamtā bājre kī roTiyāñ bārish kī shaam
saarī galiyāñ saare kūche saare dar sunsān haiñ
aur haiñ ābād saarī khiḌkiyāñ bārish kī shaam
apne hathon se bana kar kashtiyan barish ki sham
main ne pani mein baha din chiTThiyan barish ki sham
dil ke daftar mein wo manzar aaj bhi mahfuz hai
garm coffee balcony sardiyan barish ki sham
ro ke dil ki Tahniyon par aise aaya hai shabab
jis tarah bhigi hui hon laDkiyan barish ki sham
raqs mein hai qasr-e-shahi jashn hai barsat ka
kya karen kachche gharon ki bastiyan barish ki sham
jis qadar ye aasman roya main roya us qadar
dhul gain sab dil-shajar ki Tahniyan barish ki sham
yaad aati hain mujhe aksar dayar-e-ghair mein
man ki mamta bajre ki roTiyan barish ki sham
sari galiyan sare kuche sare dar sunsan hain
aur hain aabaad sari khiDkiyan barish ki sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.