apne hathon se nasheman ko jalaya humne
apne hāthoñ se nasheman ko jalāyā ham ne
ishq kī raakh ko siine se lagāyā ham ne
dard kī aag ko sho.aloñ se shanāsā kar ke
lazzat-e-hijr kī hiddat ko chhupāyā ham ne
ruuh kī pyaas bujhāne kā irāda bāñdhā
vādī-e-ishq meñ ik phuul khilāyā ham ne
ek be-parda mohabbat ko samajh kar sach hai
jabr ko sabr kā hamrāz banāyā ham ne
raah kī dhuul ko rāhbar hī samajh baiThe the
ābla-pā the magar naam kamāyā ham ne
tere hoñToñ ke liye baaġh kī sharteñ mānīñ
phuul ke jism se rangoñ ko churāyā ham ne
dil kī kashtī ko kināre se lagāyā 'kishvar''
aur phir is meñ mohabbat ko biThāyā ham ne
apne hathon se nasheman ko jalaya hum ne
ishq ki rakh ko sine se lagaya hum ne
dard ki aag ko shoalon se shanasa kar ke
lazzat-e-hijr ki hiddat ko chhupaya hum ne
ruh ki pyas bujhane ka irada bandha
wadi-e-ishq mein ek phul khilaya hum ne
ek be-parda mohabbat ko samajh kar sach hai
jabr ko sabr ka hamraaz banaya hum ne
rah ki dhul ko rahbar hi samajh baiThe the
aabla-pa the magar nam kamaya hum ne
tere honTon ke liye bagh ki sharten manin
phul ke jism se rangon ko churaya hum ne
dil ki kashti ko kinare se lagaya 'kishwar
aur phir is mein mohabbat ko biThaya hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.