apne halqe mein kabhi rakkhe nahin hushiyar log
apne halqe meñ kabhī rakkhe nahīñ hushiyār log
ham divāne haiñ divāne haiñ hamāre yaar log
tab khuleñge un pe terī sādgī ke saare rang
merī nazroñ se kareñge jab tirā dīdār log
jo mohabbat se kabhī rahne nahīñ deñge hameñ
us taraf do tiin haiñ aur is taraf do chaar log
kuchh na karnā ho to un se mashvara karnā zarūr
kaam ā.eñge tumhāre bas yahī be-kār log
ab banāne lag ga.e haiñ ye anā ko mas.ala
ik zarā sī Thes pohñchī ho ga.e ḳhuddār log
apne halqe mein kabhi rakkhe nahin hushiyar log
hum diwane hain diwane hain hamare yar log
tab khulenge un pe teri sadgi ke sare rang
meri nazron se karenge jab tera didar log
jo mohabbat se kabhi rahne nahin denge hamein
us taraf do tin hain aur is taraf do chaar log
kuchh na karna ho to un se mashwara karna zarur
kaam aaenge tumhaare bas yahi be-kar log
ab banane lag gae hain ye ana ko masala
ek zara si Thes pohnchi ho gae KHuddar log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.