apne har dard ka darman banae rakkha
apne har dard kā darmān banā.e rakkhā
ġham ik aisā thā ki siine se lagā.e rakkhā
pās-e-nāmūs-e-masīhā thā mujhe dar-parda
zaḳhm-e-jāñ-soz ko marham se bachā.e rakkhā
ek andesha-e-nā-qadrī-e-'ālam ne mujhe
'umr bhar chashm-e-zamāna se chhupā.e rakkhā
kabhī jaane na diyā ghar kā añdherā bāhar
ik diyā maiñ ne darīche meñ jalā.e rakkhā
dekh kar barhana-pā raah ke kāñToñ ne mujhe
rashk-e-gulshan mire raste ko banā.e rakkhā
asl kirdār tamāshe ke vahī log to the
vaqt ne jin ko tamāshā.ī banā.e rakkhā
dekh saktā thā bahut duur tak aage maiñ 'zahīr'
jab tak in shānoñ pe bachchoñ ko uThā.e rakkhā
apne har dard ka darman banae rakkha
gham ek aisa tha ki sine se lagae rakkha
pas-e-namus-e-masiha tha mujhe dar-parda
zaKHm-e-jaan-soz ko marham se bachae rakkha
ek andesha-e-na-qadri-e-'alam ne mujhe
'umr bhar chashm-e-zamana se chhupae rakkha
kabhi jaane na diya ghar ka andhera bahar
ek diya main ne dariche mein jalae rakkha
dekh kar barhana-pa rah ke kanTon ne mujhe
rashk-e-gulshan mere raste ko banae rakkha
asl kirdar tamashe ke wahi log to the
waqt ne jin ko tamashai banae rakkha
dekh sakta tha bahut dur tak aage main 'zahir'
jab tak in shanon pe bachchon ko uThae rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.