apne hazar rang badalne lagi hai sham
apne hazār rang badalne lagī hai shaam
sher-o-suḳhan se aaj bahalne lagī hai shaam
phir apne rang-o-rūp badalne lagī hai shaam
soz-e-ġham-e-firāq meñ jalne lagī hai shaam
tanhā.iyoñ kā shahr ab us kā nasīb hai
jām-e-shab-e-firāq meñ Dhalne lagī hai shaam
aa jaao intizār ke lamhoñ ko toḌ kar
varna ḳhayāl-e-ḳhām meñ palne lagī hai shaam
ahl-e-chaman se kah do bahāroñ ke din ga.e
ab bū-e-rū-e-gul ko kuchalne lagī hai shaam
sūraj kā ḳhuun rang-e-shafaq aur rū-e-shab
fikr-o-nazar kī god meñ palne lagī hai shaam
ik chashm-e-intizār se miltā hai ye javāb
mehr-o-vafā kā rang nigalne lagī hai shaam
bazm-e-tarab meñ dekhiye dīpak kī taan par
rū-e-ufuq pe sho.ala ugalne lagī hai shaam
apne hazar rang badalne lagi hai sham
sher-o-suKHan se aaj bahalne lagi hai sham
phir apne rang-o-rup badalne lagi hai sham
soz-e-gham-e-firaq mein jalne lagi hai sham
tanhaiyon ka shahr ab us ka nasib hai
jam-e-shab-e-firaq mein Dhalne lagi hai sham
aa jao intizar ke lamhon ko toD kar
warna KHayal-e-KHam mein palne lagi hai sham
ahl-e-chaman se kah do bahaaron ke din gae
ab bu-e-ru-e-gul ko kuchalne lagi hai sham
suraj ka KHun rang-e-shafaq aur ru-e-shab
fikr-o-nazar ki god mein palne lagi hai sham
ek chashm-e-intizar se milta hai ye jawab
mehr-o-wafa ka rang nigalne lagi hai sham
bazm-e-tarab mein dekhiye dipak ki tan par
ru-e-ufuq pe shoala ugalne lagi hai sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.