apne hi aas pas hun main
apne hī aas paas huuñ maiñ
ḳhud jo apnī asaas huuñ maiñ
jo haqīqat se be-ḳhabar haiñ
nazd un ke qayās huuñ maiñ
ins-o-jāñ ke liye jahāñ meñ
hai agar vo nivās huuñ meñ
us ke bunñe meñ munhamik huuñ
har badan kā libās huuñ meñ
fikr apne shikam kī kyoñ jab
har dahan kā garās huuñ maiñ
tishna-kāmo huuñ vaise sotā
dasht-e-vahshat meñ pyaas huuñ maiñ
chāhe dārul-amān meñ huuñ
is jagah bhī hirās huuñ maiñ
qurb hāsil hai chāñdnī kā
jism-e-sīmīñ kī aas huuñ maiñ
baas phūloñ kī chand lamhe
apne tan hī kī baas huuñ maiñ
dahr meñ maiñ jahāñ-jahāñ huuñ
unnatī huuñ vikās huuñ maiñ
jo hai marġhūb har kisī ko
ik vahī to vilās huuñ meñ
apne hi aas pas hun main
KHud jo apni asas hun main
jo haqiqat se be-KHabar hain
nazd un ke qayas hun main
ins-o-jaan ke liye jahan mein
hai agar wo niwas hun mein
us ke bunne mein munhamik hun
har badan ka libas hun mein
fikr apne shikam ki kyon jab
har dahan ka garas hun main
tishna-kaamo hun waise sota
dasht-e-wahshat mein pyas hun main
chahe darul-aman mein hun
is jagah bhi hiras hun main
qurb hasil hai chandni ka
jism-e-simin ki aas hun main
bas phulon ki chand lamhe
apne tan hi ki bas hun main
dahr mein main jahan-jahan hun
unnati hun wikas hun main
jo hai marghub har kisi ko
ek wahi to wilas hun mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.