apne hi dil mein nahin har dil mein ghar maine kiya
apne hi dil mein nahin har dil mein ghar maine kiya
Mast Hafiz Rahmani
MORE BYMast Hafiz Rahmani
apne hī dil meñ nahīñ har dil meñ ghar maiñ ne kiyā
is tarah se zindagī kā tai safar maiñ ne kiyā
ḳhūn-e-dil se 'umr-bhar maiñ ne sajā.e bām-o-dar
zindagī kā lamha-lamha bā-hunar maiñ ne kiyā
us ne baḳhshī 'ishq ke sahrā kī mujh ko sāhibī
aur har zarre se us ko jalva-gar maiñ ne kiyā
māh-o-anjum fikr kī qīmat chukā sakte nahīñ
apne ik ik harf ko rashk-e-guhar maiñ ne kiyā
ek ik Tahnī se miltī thiiñ hazāroñ ne'mateñ
phir bhī un peḌoñ ko be-barg-o-samar maiñ ne kiyā
'mast' shā'ir huuñ magar vāqif huuñ apne farz se
be-ḳhabar rah kar bhī sab ko bā-ḳhabar maiñ ne kiyā
apne hi dil mein nahin har dil mein ghar main ne kiya
is tarah se zindagi ka tai safar main ne kiya
KHun-e-dil se 'umr-bhar main ne sajae baam-o-dar
zindagi ka lamha-lamha ba-hunar main ne kiya
us ne baKHshi 'ishq ke sahra ki mujh ko sahibi
aur har zarre se us ko jalwa-gar main ne kiya
mah-o-anjum fikr ki qimat chuka sakte nahin
apne ek ek harf ko rashk-e-guhar main ne kiya
ek ek Tahni se milti thin hazaron ne'maten
phir bhi un peDon ko be-barg-o-samar main ne kiya
'mast' sha'ir hun magar waqif hun apne farz se
be-KHabar rah kar bhi sab ko ba-KHabar main ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.