apne hi kisi gham ka mudawa nahin hota
apne hī kisī ġham kā mudāvā nahīñ hotā
varna tirī duniyā meñ to kyā kyā nahīñ hotā
is shahr meñ chehroñ kī kamī koī nahīñ hai
lekin koī chehra yahāñ apnā nahīñ hotā
tum ġham meñ use dekh ke hairān se kyoñ ho
us shaḳhs kā ḳhushiyoñ se guzārā nahīñ hotā
mā'lūm zarā kar lo tum us shaḳhs kī chāhat
har rang sabhī ke liye achchhā nahīñ hotā
jab ḳhvāb tarāshoge to ye baat khulegī
har ḳhvāb har ik aañkh kā sachchā nahīñ hotā
muddat se tire saath huuñ maiñ ek safar meñ
phir bhī tirī bātoñ pe bharosa nahīñ hotā
apne hi kisi gham ka mudawa nahin hota
warna teri duniya mein to kya kya nahin hota
is shahr mein chehron ki kami koi nahin hai
lekin koi chehra yahan apna nahin hota
tum gham mein use dekh ke hairan se kyon ho
us shaKHs ka KHushiyon se guzara nahin hota
ma'lum zara kar lo tum us shaKHs ki chahat
har rang sabhi ke liye achchha nahin hota
jab KHwab tarashoge to ye baat khulegi
har KHwab har ek aankh ka sachcha nahin hota
muddat se tere sath hun main ek safar mein
phir bhi teri baaton pe bharosa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.