apne hi kisi KHwab se bahar nahin nikle
apne hī kisī ḳhvāb se bāhar nahīñ nikle
vo aks jo tālāb se bāhar nahīñ nikle
ham vasl kī jhilmil se nikal aa.e the lekin
hijrāñ kī tab-o-tāb se bāhar nahīñ nikle
is shahr ke sāhil pe tamāshā to dikhātā
beḌe mere girdāb se bāhar nahīñ nikle
marte rahe jugnū mirī tārīk galī ke
tum halqa-e-mahtāb se bāhar nahīñ nikle
kuchh shauq jo āñkhoñ se chhalakte haiñ abhī tak
kuchh ḳhauf jo a.asāb se bāhar nahīñ nikle
apne hi kisi KHwab se bahar nahin nikle
wo aks jo talab se bahar nahin nikle
hum wasl ki jhilmil se nikal aae the lekin
hijran ki tab-o-tab se bahar nahin nikle
is shahr ke sahil pe tamasha to dikhata
beDe mere girdab se bahar nahin nikle
marte rahe jugnu meri tarik gali ke
tum halqa-e-mahtab se bahar nahin nikle
kuchh shauq jo aankhon se chhalakte hain abhi tak
kuchh KHauf jo aasab se bahar nahin nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.