apne hi sae mein tha mein shayad chhupa hua
apne hī saa.e meñ thā meñ shāyad chhupā huā
jab ḳhud hī haT gayā to kahīñ rāsta milā
jalte rahe haiñ apne hī dozaḳh meñ raat din
ham se ziyāda koī hamārā adū na thā
dekhā na phir palaT ke kisī shahsavār ne
maiñ har sadā kā naqsh-e-qadam khojtā rahā
dīvār phāñd kar na yahāñ aa.egā koī
rahne do zaḳhm-e-dil kā darīcha khulā huā
niklā agar to haath na ā.ūñgā phir kabhī
kab se huuñ is badan kī kamāñ meñ tanā huā
bedār haiñ shu.ūr kī kirneñ kahīñ kahīñ
har zehn meñ hai vahm kā tārīk rāsta
jū-e-nashāt ban ke bahā le ga.ī mujhe
āvāz thī ki sāz-e-javānī kā aks thā
itnā bhī kaun hogā halāk-e-fareb-e-rañg
shab us ne mai jo pī hai to mujh ko nasha huā
'fāriġh' havā.e dard ne lauTā diyā jise
aa.egā ek din mirā ghar pūchhtā huā
apne hi sae mein tha mein shayad chhupa hua
jab KHud hi haT gaya to kahin rasta mila
jalte rahe hain apne hi dozaKH mein raat din
hum se ziyaada koi hamara adu na tha
dekha na phir palaT ke kisi shahsawar ne
main har sada ka naqsh-e-qadam khojta raha
diwar phand kar na yahan aaega koi
rahne do zaKHm-e-dil ka daricha khula hua
nikla agar to hath na aaunga phir kabhi
kab se hun is badan ki kaman mein tana hua
bedar hain shuur ki kirnen kahin kahin
har zehn mein hai wahm ka tarik rasta
ju-e-nashat ban ke baha le gai mujhe
aawaz thi ki saz-e-jawani ka aks tha
itna bhi kaun hoga halak-e-fareb-e-rang
shab us ne mai jo pi hai to mujh ko nasha hua
'farigh' hawae dard ne lauTa diya jise
aaega ek din mera ghar puchhta hua
- Book : auraq salnama magazines (Pg. 497)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 )
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.