apne hi sar se jo suraj ka guzar mange hai
apne hī sar se jo sūraj kā guzar māñge hai
Dūbtī shaam vahī ḳhvāb-e-sahar māñge hai
ab to ḳhud se bhī nahīñ koī ta'alluq mujh ko
kyoñ ġham-e-‘ishq tirī rāhguzar māñge hai
zulm kī had hai ki ham be-sar-o-sāmānoñ se
har nafas ziist nayā raḳht-e-safar māñge hai
chashm-e-bezār meñ añgḌā.iyāñ letī hai thakan
koī phir kū-e-'alāmat meñ sahar māñge hai
mas.ale vo haiñ ki ai 'umr-e-gurezāñ tujh se
hasrat-e-dīda-e-tar ‘umr-e-ḳhizar māñge hai
apne hi sar se jo suraj ka guzar mange hai
Dubti sham wahi KHwab-e-sahar mange hai
ab to KHud se bhi nahin koi ta'alluq mujh ko
kyon gham-e-‘ishq teri rahguzar mange hai
zulm ki had hai ki hum be-sar-o-samanon se
har nafas zist naya raKHt-e-safar mange hai
chashm-e-bezar mein angDaiyan leti hai thakan
koi phir ku-e-'alamat mein sahar mange hai
masale wo hain ki ai 'umr-e-gurezan tujh se
hasrat-e-dida-e-tar ‘umr-e-KHizar mange hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.