apne hi shahr mein ajnabi ho gaya
apne hī shahr meñ ajnabī ho gayā
dostoñ ne jo chāhā vahī ho gayā
ġhair to ġhair apnoñ se nisbat nahīñ
kis qadar ḳhud-ġharaz aadmī ho gayā
pyaar iḳhlās dil-bastagī dilbarī
āj-kal paikar-e-kāġhazī ho gayā
qatl us ne kiyā apnā kah kar mujhe
saare ilzām se bhī barī ho gayā
log kyoñ us ko maġhrūr kahne lage
paidā jis meñ shu.ūr-e-ḳhudī ho gayā
kyā koī inqalāb aur aane ko hai
chehra ġhunchoñ kā kyoñ shabnamī ho gayā
jo bhī guzrā hai 'ḳhālid' tirī yaad meñ
lamha vo hāsil-e-zindagī ho gayā
apne hi shahr mein ajnabi ho gaya
doston ne jo chaha wahi ho gaya
ghair to ghair apnon se nisbat nahin
kis qadar KHud-gharaz aadmi ho gaya
pyar iKHlas dil-bastagi dilbari
aaj-kal paikar-e-kaghazi ho gaya
qatl us ne kiya apna kah kar mujhe
sare ilzam se bhi bari ho gaya
log kyon us ko maghrur kahne lage
paida jis mein shuur-e-KHudi ho gaya
kya koi inqalab aur aane ko hai
chehra ghunchon ka kyon shabnami ho gaya
jo bhi guzra hai 'KHalid' teri yaad mein
lamha wo hasil-e-zindagi ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.