apne hi TuTe hue KHwabon ko dil chunta bhi hai
apne hī TuuTe hue ḳhvāboñ ko dil chuntā bhī hai
rabt ye qaa.em rahe dhundlā bhī hai gahrā bhī hai
ek rañg-o-nūr kī duniyā hai mere sāmne
sochtā huuñ is ḳharābe meñ koī apnā bhī hai
phir vahī vahshat hai yaaro phir vahī vīrāniyāñ
mustaqil is ghar meñ aa ke kyā koī Thahrā bhī hai
mujh meñ haiñ ma.akūs badle mausamoñ kī sūrateñ
ā.īna dil hī nahīñ hai ā.īna chehra bhī hai
maiñ añdheroñ kā musāfir huuñ magar ye ilm hai
raat ke zaḳhmoñ kā marham sub.h kā jhoñkā bhī hai
vaqt ne ta.amīr ke jazboñ ko kyā tasvīr dī
hai pas-e-manzar gulistāñ sāmne sahrā bhī hai
jāgte lamhoñ kī āñkheñ kis liye ḳhīra huiiñ
nisf shab meñ 'sabr' kyā sūraj kabhī niklā bhī hai
apne hi TuTe hue KHwabon ko dil chunta bhi hai
rabt ye qaem rahe dhundla bhi hai gahra bhi hai
ek rang-o-nur ki duniya hai mere samne
sochta hun is KHarabe mein koi apna bhi hai
phir wahi wahshat hai yaro phir wahi viraniyan
mustaqil is ghar mein aa ke kya koi Thahra bhi hai
mujh mein hain makus badle mausamon ki suraten
aaina dil hi nahin hai aaina chehra bhi hai
main andheron ka musafir hun magar ye ilm hai
raat ke zaKHmon ka marham subh ka jhonka bhi hai
waqt ne tamir ke jazbon ko kya taswir di
hai pas-e-manzar gulistan samne sahra bhi hai
jagte lamhon ki aankhen kis liye KHira huin
nisf shab mein 'sabr' kya suraj kabhi nikla bhi hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 524)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.