apne hisse ki zamin sar pe uThae hue log
apne hisse kī zamīñ sar pe uThā.e hue log
kitne mazbūt haiñ miTTī ke banā.e hue log
maiñ chalā jā.uñgā bas itnā batā de mujh ko
kaise jiite haiñ tire dar se uThā.e hue log
rāste bhar mirī ham-safarī kā dam bharte rahe
apnī manzil pe pahuñchte hī parā.e hue log
tum mujhe niiñd meñ tā'bīr batāyā na karo
ruuTh jaate haiñ mire ḳhvāb meñ aa.e hue log
apne hisse ki zamin sar pe uThae hue log
kitne mazbut hain miTTi ke banae hue log
main chala jaunga bas itna bata de mujh ko
kaise jite hain tere dar se uThae hue log
raste bhar meri ham-safari ka dam bharte rahe
apni manzil pe pahunchte hi parae hue log
tum mujhe nind mein ta'bir bataya na karo
ruTh jate hain mere KHwab mein aae hue log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.