apne hisse mein ajab ranj-o-fughan the jaanan
apne hisse meñ 'ajab ranj-o-fuġhāñ the jānāñ
apne lamhāt-e-bahārāñ bhī ḳhizāñ the jānāñ
tū ne dekhā hī nahīñ dil kī nigah se varna
sard āñkhoñ meñ sabhī zaḳhm ayaañ the jānāñ
ik tire hijr kī phailī huī rut se pahle
ham kisī karb se mānūs kahāñ the jānāñ
ye jo sargardāñ haiñ galiyoñ meñ udāsī ban kar
ye kabhī shahr meñ farhat kā nishāñ the jānāñ
ab tire dar se pare duur khaḌe sochte haiñ
ham tire saath ke qābil hī kahāñ the jānāñ
log kahte haiñ tire ḳhvāb sajāne vaale
tere 'abbās' se pahle bhī yahāñ the jānāñ
apne hisse mein 'ajab ranj-o-fughan the jaanan
apne lamhat-e-bahaaran bhi KHizan the jaanan
tu ne dekha hi nahin dil ki nigah se warna
sard aankhon mein sabhi zaKHm ayan the jaanan
ek tere hijr ki phaili hui rut se pahle
hum kisi karb se manus kahan the jaanan
ye jo sargardan hain galiyon mein udasi ban kar
ye kabhi shahr mein farhat ka nishan the jaanan
ab tere dar se pare dur khaDe sochte hain
hum tere sath ke qabil hi kahan the jaanan
log kahte hain tere KHwab sajaane wale
tere 'abbas' se pahle bhi yahan the jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.