apne hone pe na hone ka nishan rakkha hai
apne hone pe na hone kā nishāñ rakkhā hai
saaf zāhir huuñ magar ḳhud ko nihāñ rakkhā hai
soch saktā huuñ tujhe dekh nahīñ saktā maiñ
kyā batā.ūñ ki tujhe maiñ ne kahāñ rakkhā hai
vo mirī samt meñ aa.egā palaTne ke liye
maiñ ne imkān se aage bhī gumāñ rakkhā hai
aañkh khultī hai kisī aur jahāñ meñ merī
band āñkhoñ meñ koī aur jahāñ rakkhā hai
silsila-vār mire ḳhvāb meñ aa kar us ne
kis tavātur se kahānī ko ravāñ rakkhā hai
us ne rakkhā hai mujhe saath to apne lekin
dil hī rakkhā hai mirā dil meñ kahāñ rakkhā hai
be-ḳhayālī ne uThā kar ye mirā paañv 'uzair'
jis jagah koī nahīñ pohñchā vahāñ rakkhā hai
apne hone pe na hone ka nishan rakkha hai
saf zahir hun magar KHud ko nihan rakkha hai
soch sakta hun tujhe dekh nahin sakta main
kya bataun ki tujhe main ne kahan rakkha hai
wo meri samt mein aaega palaTne ke liye
main ne imkan se aage bhi guman rakkha hai
aankh khulti hai kisi aur jahan mein meri
band aankhon mein koi aur jahan rakkha hai
silsila-war mere KHwab mein aa kar us ne
kis tawatur se kahani ko rawan rakkha hai
us ne rakkha hai mujhe sath to apne lekin
dil hi rakkha hai mera dil mein kahan rakkha hai
be-KHayali ne uTha kar ye mera panw 'uzair'
jis jagah koi nahin pohncha wahan rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.