apne hone se tu mukar gaya hai
apne hone se tū mukar gayā hai
pyaar kā bojh kyā utar gayā hai
koī miltā nahīñ garebāñ-chāk
is kā matlab hai qais mar gayā hai
phir se fasl-e-bahār aane tak
phuul dil kā bikhar bikhar gayā hai
tū kahāñ hai use nahīñ mālūm
DhūñDne tujh ko dar-ba-dar gayā hai
aa.ine ko banāne vaalā bhī
aa.ina dekhte hī Dar gayā hai
kab yaqīñ aa.egā tujhe 'jāzib'
apne va.ade se vo mukar gayā hai
apne hone se tu mukar gaya hai
pyar ka bojh kya utar gaya hai
koi milta nahin gareban-chaak
is ka matlab hai qais mar gaya hai
phir se fasl-e-bahaar aane tak
phul dil ka bikhar bikhar gaya hai
tu kahan hai use nahin malum
DhunDne tujh ko dar-ba-dar gaya hai
aaine ko banane wala bhi
aaina dekhte hi Dar gaya hai
kab yaqin aaega tujhe 'jazib'
apne wade se wo mukar gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.